Web Development

What is ssl certificate how does it work ?

What is ssl certificate how does it work :- Hello, friends websblog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara jo topic hai ki SSL kya hai? Ye kitne parkar ke hote hai, free mein SSL kaise le. So dosto sab se phele hum bat krege ki SSL kya hai. SSL (Secure Sockets Layer) iski full form hai ye toh aap sab ne padha hi hoga. iska nirman NETSCAP ne 1990 mein kiya tha. SSL ka use websites and online applications ko secure krne ke liye hota hai. aao SSL kya hota hai isko visthar se samjnte hai:–

SSL kya hai? What Is SSL

SSL kya hai

What is ssl certificate how does it work :- jo ki websites, Gmail or online application ko security pradhan krta hai. Ye Aap ke duara websites ya application mein dali gyi information ko encrypt krke server tak punchata hai. Matlab is se aap ki website/application information ke bech mein security deta hai jis se websites/application owner or server ke beech mein security rehti hai jis se data save rehta hai. Aaj ke dur mein bhot sari websites bn rahi hai or wo SSL use krte hai jaise ki aap ne bhot sari e-commerce websites mein dekha hoga ki hum jab bhi koi online saman purchase krte hai toh hum apni sabhi personal details, bank details or card details us website mein fill krte hai, so in sabhi details ko jo hum fill krte hai unko secure krne ke liye hum SSL ka use krte hai. SSL ka use se hamri jo information hoti hai jo hum us website mein fill krte hai usko secure krne ke liye ya fir ye information hackers se bachne ke liye hum SSL ka use krte hai jo ki information ko secure rakhta hai.

What is web hosting in hindi ?

What is ssl certificate how does it work :- ko hum TLS bhi khete hai (Transport Layer Security) jiska use hum Gmail mein hota hai. So aaj ke dur mein bhot sari websites hai jo SSL ka use kr rahi hai jis se wo apni information ko secure rakh pate hai. Agar aap SSL ka use nhi krte ho toh google us website ya application not secure btati hai jo ki user ke liye or aap ki website ke liye ye shi nhi hai. Agar aap SSL ka use nhi krte toh ye google mein not secure hoti hai jis se aap ki website pr SEO ranking ka bhi kafi fark padhta hai. So aaj ki date mein ssl bhot jrori hai hamri websites or application ke liye. Agar aap ki koi E-commerce business website hai toh app ke liye SSL ka use bhot jrori hai ta jo app apni websites mein user ka fill hone wala data ko secure rakh ske.

SSL kaise kam krta hai? How does SSL work?

What is ssl certificate how does it work :- Ye hum ne yan hi liya hai ki SSL kya hai. So ab hum dekhte hai ki SSL kam kaise krta hai. So SSL do trah ke keys ka istimyal krta hai ek hai public key and dusri hai private key, ye dono keys ek sath milker samprak bnate hai or security pardhan krte hai.

So jab bhi hume kisi parkar ki koi jankari chiye hoti hai toh hum us jankari se related website pr visit krte hai , jab hum website visit krte hai toh web browser us website ke server ke sath connect krta hai browser us website ke server ko request krta hai ki wo website apni pehnchan de ki wo HTTP hai https hai. So server tak request punchne ke bad web server browser ko us website ki SSL certificate ki copy ke sath public key send krta hai, uske bad user us certificate yani SSL ko check krta hai ki wo secure hai ya nhi, agar wo secure hai toh hi wo is website mein apna personal data share krta hai.

What is dark web ?

SSL ke parkar ? Types of SSL ?

So dosto hum sab ne ye toh jan hi liya hai ki SSL kya hai aur ye kaise kam krta hai, chlo ab hum jante hai ki SSL kitne parkar ka hota hai. So sabhi websites ke liye alag-alag SSL certificate hote hai inme se kuch mehnge or kuch saste hote hai.

  • 1.Wildcard SSL Certificate
  • 2.Multi-Domain (SAN) SSL Certificate
  • 3.EV SSL Certificate
  • 4.Domain validated SSL
  • 5.Organization Validation SSL
  • 6.Code Signing Certificate
  • 7.Multi Domain Wildcard SSL Certificate

1. Wildcard SSL Certificate

So wildcard SSL ka use hum domains or sub-domains ko security dene ke liye use krte hai. Is SSL ki use se aap ko organization valdation milta hai.

2. Multi-Domain (SAN) SSL Certificate

Multi domain SSL ke use se app 250 domains ko secure rakh skte hai. Is SSL ke use se aap ko Organization Validation , Domain Validation or Extended Validation milta hai.

3. EV SSL Certificate

EV SSL ka use bdi websites ya business websites ke liye hota hai ya organization ke liye is SSL ka use kiya jata hai. jaise ki Godaddy, jaise websites mein example ke tor pr is SSL ko aap dekh skte ho

Digital signature in Hindi

4. Domain validated SSL

Ye SSL sasta hota hai ye choti website ya blog websites ke liye use hota hai.

5. Organization Validation SSL

ov SSL nam se pta chl reha ha ki ye or Organization companies ko security dene ke liye use hota hai.

6. Code Signing Certificate

Is SSL ka use hum software and application ko secure krne ke liye krte hai.

7. Multi Domain Wildcard SSL Certificate

So agar aap apne sare primary domain or unke sare sub-doamin ko secure rakhna chate hai toh is SSL ka use kiya ja skta hai.

SSL kha se le or free mein SSL kaise le ? Where to purchase SSL and how to get free SSL

So dosto bhot sari companies hai jo aap ko SSL pradhan krti hai Jaise ki Go daddy , Bigrock , Hostgator, etc. ye sari websites hume SSL pradhan krti hai jab bhi hum koi hosting lete hai in companies se toh ye with SSL hume hosting offer krti hai agar hum ye SSL chate hai toh hum hosting ke sath le skte hai. Lekin bhot sari free websites bhi hai jin se hum SSL le skte hai jaise ki Let’s Encrypt or cloud fare ye free websites hai jin se hum free mein SSL pa skte hai. Let’s Encrypt kafi achi company hai free SSL ke liye or cloud fare ke use se SSL toh milta hi hai sath me ye hamri website ko secure bhi krta hai.

Conclusion

So dosto main umeed krta ho ki aap ye post achi lgi hogi or aap smaj gye hoge ki SSL kya hai,ye kitne parkar ka hota hai or kha se aap SSL purchase kr skte ho , agar aap ko lgta hai ki is post mein koi hor point add ho skta hai toh comment krke jror share kre. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.