Web Development

What is dark web ?

Hello, friends webs blog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara topic hai ki dark web kya hai? Aaj ke is topic mein hum jane  ge ki dark web kya hota hai or kaise hum dark web ko access kr skte hai. so dosto internet do trah ka hota hai ek surface web or dark web. surface web wo hota hai jise hum use krte hai or dark web wo hota hai jise hackers use krte hai. Aao ise visthar se dekhte hai:

Dark web kya hai? Ise kaise access kre ?

Difference Between Surface Web or Dark Web?

so dosto jis internet ko hum log access krte hai jise hum bolte hai world wide web ye teen types se divided hai phela hota surface web jo hum log access krte hai jo sirf 4% hai pure internet ka, or jo dusra hota hai wo hota deep web or tisra hota dark web.

What is freelancing in Hindi ?

Surface Web

Surface web wo hota hai jise hum use krte hai or jin websites ke links hume search engine mein mil jate hai. udharan ke liye jin website ko hum google, yahoo ya bing jiase search engine mein search kr skte hai wo surface web hota hai. jin websites ko hum directly internet pr jake visit kr skte hai unhe surface web bolte hai.

Deep Web

Deep web wo hota hai jihe hum directly access nhi kr skte. jin websites ko hum directly search engine se visit nhi kr skte. Deep web aise links hote hai jo Aap ko google mein nhi milge, udarhan ke liye ek abc.com website hai uske ander ek link create kr deta hai abc.com/myweb toh ye ek ab abc.com/myweb deep web ka link bn geya. ise hum google se index bhi nhi krate toh ye ek deep web ka link bn jye ga. jo aap ko directly nhi milega search engine mein. aise websites links ko create krke Aap ye links unhi logo ko de skte ho jine aap ye link share krna chahte ho. Deep web mein ye websites links privacy ke liye use hote hai.

Best wordpress plugins free ?

Dark Web

Dark web wo hota hai jise hum apne isp or apne web browsers mein use nhi kr skte. Aap dark web google chrome, safari, opera ya firefox se access nhi kr skte ho. Dark web internet ko wo hisa hai jise Aap search engine mein dondh nhi skte. Ek research ke duran pta kiya geya ki Landon ke kings collage ke 2 students Daniel Moore and Thomas Rid ne 2723 websites bnayi thi, or in website’s mein 57% avaid smagri use hoyi thi. Dark web mein bnayi gyi koi bhi websites Aap direct access nhi kr skte. Dark web ka use illegal kam ke liye use hota hai jaise ki:-

drugs
Fraud
Gam*ling
Chatting
Hac*ing
Hosting
Search
Anon*mity
Whistleblower

Is liye dark web browser ka jab use kro toh sirf knowledge ke liye ya fir practical use krne ke liye hi kre. Kabhi bhi dark web ke use krke koi bhi apni personal Gmail, facebook ya bank se related website open na kre. is se aap ki privacy lost ho skti hai or aap ka password, bank information leak ho skta hai. But dark web ka use sirf illegal kamo ke hi liye nhi balki ise legal kamo ke liye bhi use kr skte ho jaise ki aap inke chess club or BlackBook mein shamil ho skte ho.

How to Use Dark Web?

So dosto dark web ko use krne ke liye hume ek browser ki jroret hoti hai jiska nam hai tor browser. ji ha dosto tor ek aisa browser hai jise hum dark web ke liye use krte hai.hum apne daily uses browsers ka istmiyal nhi kr skte dark web ko access krne ke liye. Tor browser ka use krke hum dark web ka use kr skte hai. Tor browser aap ko full privacy deta hai, isme bhot sare servers use hote hai jis se aap ki ip share nhi hoti, or ye ip har 15 mint mein change kr deta hai.Or jo website aap access kr rahe ho tor browser ki jariye wo alag-alag server ke throw chalti hai jise track kr pana bhot mushkil ho jata hai. Tor browser mein use hone wali websites .onian ki extension ke sath chlti hai. ye .onian bhi .com or .in ki trah hota hai but ise aap google ya daily use browser mein access nhi kr skte. .onian ki websites sirf tor browser mein hi access hogi.So Jab website tor browser ke ander khule gi toh ye private browser ho geya or jo bhi tor mein wo website chla reha uski identity bhi private hogi or jo us website pr visit kr reha hai wo alag-alag vpn ke throw visit kr reha hai. so ye sara processor anonymous hai kon website visit kr reha hai or kiski website hai ye sab private rehata hai.

How to increase website speed in wordpress ?

So bhot sari in legal websites bni hoyi hai .onian krke jo sirf tor browser mein chle gi jiski wjah se bola jata hai ki dark web access na kro kyu ki ye in legal hai, kyu ki aap kisi in legal website pr chle ge toh kya pta wo website aap ko hi hack kr laye, aap ke software mein aap ke pc kuch chize instal kr de kyi ki puri trah anonymous hai. Is liye kha jata hai ki in legal websites pr visit na kre kyu ki yha drug bhi bhecha jata hai, jitne in legal kam hote hai in websites mein hote hai.

Is Dark Web legal or illegal?

So tor browser ek legal software hai jise aap use kr skte ho, iske sponser bhi khud google hi hai, or ye ek open source browser hai, but tor ke ander jo websites bnti hai wo anonymous hai, wo websites ke ander kya kr rahe ho jaise ki koi pirate movie ayi hai use aap .com wali website mein host krte ho toh aap ko complaint aa jaye gi aap ki website bnd ho jayigi, but onian mein aisa nhi hota, onian mein kya hota hai ki wo website aap ke computer mein hi host rehti hai or aap ke computer se aap tor browser chalte ho, jis tarh aap torrent se direct files download krte ho, usi trah ye website host rehti uni ke computers pr, hackres ke computers pr or wo ek website bna dete hai jo ki tor ke throw hi access hoti hai kyu ki isko koi bnd nhi kra skta toh isme inlegal cheze kr skte ho, is liye bola jata hai ki jo ye dark web hai iske ander jo websites hai ulti-sidhi .onian krke inko vist nhi krna chiye kyu ki agar aap ek bar fas ge toh ho skta hai ki jo google chrome aap ko bcha leta us website ko visit krke aap fs jao ge ye websites visit krke khud hi hack ho jao ge. but agar aap ko tor ka use bhi krna hai toh aap sirf knowledge ke liye or practical dekhne ke liye hi download kre.

Conclusion

So dosto main umeed krta ho ki aap ye post achi lgi hogi or aap smaj gye hoge ki Dark Web kya hai, Ise kaise access kre or ise kaise use kre, Agar aap ko lgta hai ki is post mein koi hor point add ho skta hai toh comment krke jror share kre. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.