Web Development

How to increase website speed in WordPress ?

Hello, friends webs blog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara jo topic hai ki Website ki speed kaise increase kre? Website speed increase kne ke liye kon-kon se web tools hai? So dosto jab bhi hum koi website create krte hai toh hum hamesha chate hai ki hamri website 2-3 seconds tak open ho jani chiye ta jo hamri website pr koi bhi visit krne wale user ko koi pareshani na ho. So website speed kyu jrori hai, ise kaise increase kre aao visthar se samjanthe hai:–

Website speed increase kaise kre ?

website speed increase kaise kre

So Aaj ke dur mein har din bhot sari websites create ho rahi hai , agar kisi ko kisi bhi topic pr koi janakari chaiye hoti hai toh hum Google krte hai and google hum ko kisi website pr visit kr deta hai us jankari se related website pr. So ye bhot jrori hai ki hamari website google ke un top 10 links mein ani chiye, So is top ten links mein website ko lane ke liye jrori hai SEO. So SEO or Google algorithm ke liye so sab se jrori point hai wo hai website speed. So aaj ke dur pr agar hume is online duniya mein apni website ko rank karwana hai or website ko google top ten link list mein lana hai toh website speed bhot jrori hai. Agar Aap ki website ki speed achi nhi hogi toh apki website pr traffic nhi ayega, ek blogger ke liye ya kisi business website ke liye bhot jrori hai ki wo Apni website ki speed achi rakhe ta jo wo Apni website pr jyada se jyada traffic la ske.

SEO Kya Hai ? Ye blog ya website ke liye kyu jrori hai ?

Website ki speed 80 se 95 ke beech mein honi chiye, kyu ki bhot sare user 2g ya 3g connections use krte hai jis se agar website slow rahegi toh 2g or 3g connection mein or jayda loading time legi. Is se aap ki website pr traffic km ho jayegi and bounce rate bhi jyada ho jayega jo ki bilkul acha nhi rehta website ranking ke Liye.

So hum ne ye toh baat kr li ki website speed km hone se hamri website pr kya-kya effects padh skte hai. So ab hum baat krte hai ki website speed increase kaise kre or kya karan hai jis se hamari website heavy ho jati hai. So jab bhi hum koi new website create krte hai toh hamri website ka size 20-40 MB hota hai agar hum website ko HTML, CSS ke sath develop krte hai toh. So is technology mein jab bhi hum website create krte hai toh bhot jrori hai ki hum apni code ko compress kre, images ko compress kre , mobile responsive rakhe.
or agar website WordPress technology mein hai toh hum Dhyan rakhe ki hum unused plugin ko delete kr de.or speed increasing plugins ka bhi use tab hi kre jab un plugins se aap ko result mile or agar apki website HTTP hai toh usko https mein jror convert kre.

SSL kya hai ? Free mein ssl kaise le ?

So hum ne dekh liya hai ki website speed mein kya-kya resources maiyne rakhte hai, So ab hum baat krte hai ki hum kon se web tools use krke website speed increase kr skte hai.

Website or Blog Ki Page Speed Badhane Ki 10 Best Online Tools

  • GT metrix
  • Page speed insights
  • Pingdom tools
  • uptrends Tools
  • Web page test
  • Dare boost
  • Think with google
  • Load impact
  • monitis
  • Which loads faster

Website speed increase krne ke liye ye sabhi tools ka use hota hai aao ise ek-ek krke samnjhte hai:–

GT metrix

Gtmetrix

Gt matrix ki baat kre toh jab bhi website speed tool ki bat ati hai toh sab se jayda use hone wali or sab se popular website hai wo Gtmetrix hai. isme agar aap apni website test krte ho toh ye aap ko sare CSS, javascript code, images and server ke sabhi issues ke bre mein jankari deti hai. isme aap ko yslow score ki jankari mile gi or sath mein isme website mein kya error hai or kis wjah se wo error hai sab pta lg jye ga or aap un errors ko ek-ek krke solve kr skte hai or speed increase kr skte ho, or jab bhi aap koi inke duara diya geya error solve krte ho or dubara se speed check krte ho toh aap ko apni website ki speed ka result pta chal jye ga.

Page speed insights

page speed insights

Page speed insights bhi website speed checking ke liye use hota hai. Ye google duara baneya ga hai google aaj ke samey mein no 1 search engine hai so is tool ka use sabhi blogger or developer krte hai. Ye bhi Gtmetrix ki trah aap ki website ko pura analyze kr ke sabhi errors batata ha, or iski ek achi baat ye hai ki ye desktop or mobile dono ka result aap ko deta hai. iski help se aap desktop speed or mobile speed dono ke result ki help se speed increase kr skte ho.

Pnr status in Hindi

Pingdom tools

pingdom

Pingdom tools bhi bki tools ki trah bhot use hone wala or popular speed test tool hai. Isme bhi app apni website ki speed test kr skte ho. Isme aap ko page speed test, load time, requests or pref sabhi files ka pta chal jyega. Website ki speed kis wjah se kam ho rahi kis script, images ya kis file ki wjah se km ho rahi hai ye tool sab btata hai.

uptrends Tools

uptrends

uptrends bhi ek hor tool hai jis se website speed Badhi ja skti hai. Ye bhi ek tool hai jo website speed increasing mein help krta hai.

Web page test

web page test

So web page test bhi bhi ek website speed testing toll hai. Is tool ki help se aap location or browser ke anusar website ki speed test kr skte ho. Agar aap ko chrome pr speed check krni hai ya bhi firefox pr toh aap us browser ko select kr ke speed test kr skte ho. Isi trah se aap alag-alag location bhi select kr skte ho or us location ke hisab se speed test kr skte ho website ki.

Dare boost

dare boost

Dare boost pr bhi aap website speed testing check kr skte ho.

Think with google

think with google

Think with google bhi ek google duara bneya geya website speed testing tool hai. Jis ki help se aap website speed test kr skte ho. Is mein ek Khas baat ye hai ki ye step by step aap ko desktop or mobile pr speed increasing kaise krni hai ye btata hai. Developers and bloggers ke liye website speed testing ke liye kafi acha tool hai.

Load impact

load impact

monitis

monitis

Which loads faster

which load faster

Which loads faster tool ka use krke do websites ki speed comparison kr skte hai. Is tool ki help se Aap do websites ki speed ko comparison kr skte ho.

Conclusion

So website speed achi honi bhot jrori hai tab hi hum jyada se jyada traffic la skte hai. So agar aap ki website ki speed km hai or ye 80 se 95 tak nhi Aa rahi toh aap ko iski speed increase krni chiye.So dosto main umeed krta ho ki aap ye post achi lgi hogi or aap smaj gye hoge ki Website speed kyu jrori hai kiase ise increase kre ,Kon se tools use krke hum website speed check kr skte hai and improve kr skte hai.Agar aap ko lgta hai ki is post mein koi hor point add ho skta hai toh comment krke jror share kre. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.