Make Money

Google se paise kaise kamaye in Hindi ?

Google se paise kaise kamaye in Hindi ? :- Hello, friends webs blog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara topic hai ki google se paise kaise kamaye? Online paise kaise kma skte hai? Kaise hum apna online profession ya business start kr skte hai, kaise online income ki ja skti hai Aao visthar se samjnte hai:–

google se paise kaise kamaye

Google se paise kaise kamaye

So dosto Aaj ka yug online yug hai jiase ki Aap jante hai ki Aaj jo bhi hume janana ho ya koi information leni ho toh hum google krte hai, online serach krte hai. So jaise-jaise internet teji se badh reha vaise hi online income ke resources bhi vaise hi badh rahe hai. So dosto Aaj ke dur mein Agar aap online paisa kamana chate ho toh bhot se internet mein resources hai income ke liye, Jisme aap long term income kr skte ho or achi-khasi income kr skte ho. vaise toh bhot se resources hai online income ke but inme se kuch jo bhot helpful hai or jo long term income ke liye ache hai aao un pr bat krte hai.

A. Blogging
B. YouTube
C. Create A Application
D. Affiliate Marketing
e. Freelancing

Blogging

So dosto jo sab se phela online income ka resource hai wo hai blogging. Ji ha Aap apna khud ka ek blog bna kr income kr skte hai ho. Blogging mein aap ko ek website ready krna hota hai jisme aap ko kisi bhi topic pr post write krni hoti hai. ye post aap kisi or ke blog se copy nhi kr skte ho, Ye Aap ko khud ready krni hoti hai or aap ke post ka content acha or unique hona chiye. Aap kisi bhi topic pr apna blog ready kr skte ho jaise cricket,Bollywood, technology, etc. So blog ka online business start krne ke liye aap ke pas website honi chiye, Agar aap ke pas website banane ke liye ya us website banane ke liye domain ya hosting nhi hai toh aap blogger ki offical website se apna blog ready kr skte ho jisme aap ko free domain or free hosting mil jayegi. Agar aap ko ye nhi pta ki hosting kya hai toh aap hamari ye niche di gyi post ko read kr skte hai.

What is web hosting in Hindi ?

So aap ko ye toh pta lag hi geya hoga ki blog kya hai or ye kaise work krta hai. So jab hum ek blog ready kr lete hai toh hume is se kaise income ho skti hai Aao jante hai. So blog ki website se paisa kamane ke liye aap ko ek acha domain, template choose krna hoga, ache posts write krne hoge jo ki unique ho or copy kiye na ho. So jab aap ye step complete krte ho toh aap apne blog ki promotion social media pr kre or apne blog ki SEO kre. Agar aap ko nhi pta SEO kya hai or kaise krni chiye toh aap hamari niche di gi post ko read kr skte ho.

SEO kya hai ye blog ya website ke liye kyu jrori hai ?

So dosto jab aap blog ready kr ke uski promotion kr lete ho jab aap ke blog pr acha traffic Aa jata hai toh Aap tab Google AdSense ke liye apply kr skte ho. jab aap ka blog Google AdSense se approve ho jata hai toh aap google ads ka use apne blog pr lga ke income kr skte ho.

You Tube

So dosto jo dusra income ka ek acha resource ata hai wo hai youtube. Agar aap blog nhi likhna chate toh aap youtube pr video ban kr upload kr skte ho, Jo kam aap ko acha lgta hai ya jis kam mein aap mahir ho ya jis kam mein aap ka interest hai aap us kam se related video bna skte ho or use upload kr skte ho. Blog ki trah hi youtube ek bhot hi bda maadhyam hai income ke liye.Aaj ke smaey mein youtube internet ek tv bn chuka hai jisme har roz bhot se log jud rahe hai.

So dosto youtube mein income ke liye aap ko apna youtube channel create krna ho, ek acha title choose krna hoga ye title aap ke topic se mel hona chiye. Ek acha topic choose krke aap ko videos upload krni hogi. Blog ki trah hi isme bhi aap ko traffic lane ke liye social media pr iska parchar krna hoga, jab aap ke you tube channel pr 1000 subscriber complete ho jaye toh aap ise Google AdSense ke sath jode or approve ke aap ke chanel pr ads ana start ho jaye ge or aap income start kr skte ho.

What is google adsense in Hindi ?

Cretae A Application

Agar aap ek program ho toh aap apna khud ek app ready krke play store pr apne app ko publish kr skte hai. So jitne bhi log aap ke aap ko search krke download krege utni hi aap ko income hogi. Agar aap ek program nhi ho or aap ko app create krni nhi ati toh aap apni ek app ready krwa skte ho lekin ye app unique honi chiye or is app mein aap ads ka use krke paisa kma skte ho. Aaj aise bhot se online platform hai jisme aap free app ready kr skte ho, but agar aap ko long term income krni hai toh apko free wali nhi ek achi app ready krwani chiye or ek ache idea ke sath income krni chiye.

Affilate Marketing

Affiliate Marketing ek bhot hi acha resource hai online income ke liye. Ji ha dosto agar aap apni income ek tej process ke sath or jaldi krna chate hai toh Affiliate Marketing ek acha hai income ke liye.Affiliate Marketing mein aap kisi online company ke product ko apni website ya social media ke throw sell krwate ho or koi visitor/user aap ki website ya social media se us product pr click krke us product ko purchase krta hai toh wo online company aap ko commission deti hai. Or jo commission hota hai wo product pr depend karta hai wo kis type ka product hai or us product pr kitni commission milti hai apko. Affiliate Marketing ke bare mein full jankari le hamari is post ko read kr krke.

Affiliate marketing kya hai is se paise kaise kamaye ?

Freelancing

Freelancing ek bhot hi acha online income ka resources hai. Agar aap kisi bhi kam mein ache ho ya aap us kam ko bhot hi jaldi or perfect krte ho toh freelancing ka platform bhot hi acha hai apke liye. Freelancing mein aap kisi bhi kam ke liye apply kr skte ho jaise ki teaching, typing. developing,logo making etc. So aise bhot si freelancing websites hai jin pr aap ja kr login kr ke or jis kam mein aap ache ho usko choose krke income start kr skte ho. Bhot si freelancing websites aap ko muka deti hai jis kam mein aap ache ho us kam ko online krke paisa kamane ka.Freelancing ki full jankari ke liye hamari ye post rea kre.

What is freelancing in hindi ?

Conclusion

So dosto online paise kamane ke bhot se resources hai bs hume lagan ke sath kisi bhi resource pr kam krna chiye or income krni chiye. Kisi bhi kam krne ke liye koi bhi shortcut nhi hota so aap apne online career ko ya online business ko kisi bhi platform ka use krke income start kr skte ho.online kitni income aap kr skte ho ye aap pr depend krta hai. So dosto main umeed krta ho ki aap ko ye post achi lgi hogi or online paisa kaise kamte hai un sab ki jankari mili hogi. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga, or hamare website ke bell icon ko jror press kre ta jo aap hamari ane posts ke sath jud ske.

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.