Technology

Digital signature in Hindi ?

Digital signature in Hindi ? :- Hello, friends webs blog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara jo topic hai ki Digital Signature kya hai? or ye kaise kam krta hai? So aaj ka yug pura online hai, sab kuch online ho reha hai chae chezo ki adan pardan ki bat kre ya kisi bhi jankari ko hasil krna ho toh sab online jankari mil jati hai. So Digital Signature kya hai aye ise visthar se samjanthe hai:–

Digital signature in Hindi ?

digital signature kya hai

Digital signature in Hindi ? :- So dosto hum apne daily ke niji jivan mein signature ka istimal krte rehte hai chae wo bank se paise lene ke liye ,sarkari kamo ke liye ya fir kisi se len-den ke liye kagji signature krte hai. Lekin kya hota hai jab bhi hum physical signature use krte hai toh is se hum kisi bhi dusre person ka signature copy kr skte hai jo ki posible hota hai physical signature mein. So physical signature copy hone se hame kafi nuksan ho skta hai jaise aap ki bank details pr nakli signature ho jane se aap apni kamyi hoyi puji ka nuksan etc.

App kaise banaye in hindi ?

Digital signature in Hindi ? :- Pr dosto in ab in sab pareshaniyo ko dur krne ke liye or online zindgi ko or fast krne ke liye abhi hum Digital Signature ka use krte hai. Digital signature Advance Cryptography Technology pr adarit hai. 1977 mein Ronald R. or unke sathyio ne phelo bar RSA Algorithm ka avishakar kiya tha jiski help se badi sakeyha mein digital signature codes ko prapat kiya ja skta tha.samey ke sath isme bhi improvements hoti rahi and ye bhi update hota geya .

Aaj ke samey mein har ek viksit desh mein iska use ho reha hai. iske use ko dekhte hoye isko kanoni maynata di gi hai, jisme bharat bhi shamil hai. So Digital Signature kaise kam krta hai isko kaise instimyal kre,Digital Signature kitna safe hai iske kya fayde or nuksan kya hai, kaise digital signature bna skte hai aao in sab cheezo ko jante hai.

Digital signature kaise kam krta hai?

Digital signature ek aisi technique hai jis se hum kisi bhi document ki sachyi pta kr skte hai ki wo document kitna genuine hai or kitna nhi, Digital signature ka processor is trah bnaeya geya hai ki agar kisi bhi document mein kisi bhi parkar ki koi gadbad ya cherchar ki ho toh use asani se pta lgeya ya skta hai. Digital signature Public Key Cryptography pr adhrit hai, Ye Public key algorithm jaise ki RSA ka use krke do keys genrate krta hai jo ki hai Public Key And Private Key, or ye dono keys apas mein linked hoti hai. Digital signature banane ke liye Signing software ki help li jati hai.

How to increase website speed in wordpress ?

jiska bhi digital signature hai uska one way hash baneya jata hai. Phir is hash ko Private Key ki help se encrypt kiya jata hai. Isi encrypt hash and iske related information jaise ki hashing algorithm ko Digital signature khete hai. Digital signature kaise kam krta hai jab bhi hum kisi electronic document pr signature krte hai, toh signature signer ke private key ke duara generate hota hai jisme iske algorithm ke duara document ko match krna, uski detail ko check krna ye sara processor shamil hota hai, is processor ko hash khete haijo ki digital signature ki main security hai.

Hash ka value unique hota hai. Agar hum hash data ko dekhe toh ydi isme koi bhi badlav ata hai yha tak ki ek character bhi bdlata hai tab ye result mein kuch or hi value show krega ye digital signature ko or scure bnata hai. Aao ise ek simple example se samjhte hai ki digital signature kaise kam krta hai kaise possessor chta hai iska.

So jab bhi hum kisi document pr digital sign krte hai toh hum private key ka use krte hai, is private key ka use krte samey mathematical algorithm ke duara ek data generate kiya jata hai jise hum hash bolte hai. Ye hash data ko encrypt kr deta hai or document ke sath jodi hui sari jankari jaise ki document ko kab edit kiya geya,edit krne ka samey,edit krne wale ka email /name sab data rakhta hai.

Or jab hum ab is document ko kisi sender/receiver ko send krte hai toh wo is document ko access krne ke liye hash ka use krega. but agar hum is document ko kisi capable program mein open krege jaise ki ms office toh ye automatic hash ko decry pt kr lete hai or uske bad automatic document ke adhar pr ek new hash generate kiya jata hai jise decrypted hash se mileya jata hai or dekha jata hai ki document ko beech mein edit toh nhi kiya hai.

WordPress me website kais ebanaye ?

Digital Signature kaise banye ?

Agar aap digital signature pana chate hai ya bnana chate hai toh aap ko iske liye kuch chezo ki jroret padti hai jaise ki digital certificate. ye certificate CA (Certificate Authority) se ye mil jayega. CA ek viakti hota hai jise information technology ke act ke tehet digital certificate and signature provide krne ke liye license diya geya hai.

CA (Certificate Authority) digital certificate generate krke us se Digital signature bnakar aap ko provide krta hai. Iske liye hume CA (Certificate Authority) ko fees deni padti hai or sath mein aap ka koi bhi id proof jaise ki PAN Card (Personal Account Number), passport proof ya Adhar card proof lgta hai and 4 photos aap ko CA (Certificate Authority) office bhejni hoti hai.

Digital signature ko banne mein 1 year lag skta hai.Bharat mein kafi sari Digital Signature provide krne wali companies hai jinke pas license hai isko provide krne ka ye companies hai Emudhra, CDAC, Safe Script, n code Capricorn. Aap online google se bhi digital signature bna skte ho jaise example ke liye mylivesignature.com is website se aap digital signature bna skte ho. Is website ki help se aap Signature ka font-style,size,slope,color set kr skte ho or signature get kr skte ho.

Or agar aap ko Ms Office ke liye personal digital signature chiye toh aap Ms office digital signature pr click kr skte ho.

Digital Signature kitna safe hai?

So dosto hum ne ye toh jan liya hai ki Digital Signature kya hai kaise kam krta hai or isko kaise paya ja skta hai. But Digital Signature kitna safe hai, iska use hum kitne bhrose se kr skte hai Aao jante hai. So agar hum baat kre digital signature ki toh jab tak apki private key aap ke pas secure hai tab tak Digital Signature ka use krna safe hai.

Aao ise deeply samnjhte hai iske liye private key ko generate kiya jata hai or ose FIPS Compliant Cryptography Token mein store kiya jata hai, is liye iske sath kuch bhi gadbad ya cherchar krna namunkin sa kam ho jata hai. Ye private key us Cryptography Token mein bnta hai whi rehta hai or whi pr ye khatam ho jata hai kabhi bhar nhi ata.

Jab bhi hum kisi digital document pr sign krte hai toh hume private key ki jroret hoti hai. kisi digital document ko access krne ke liye hume ek software ki jroret hoti hai or uske liye pin required hoti hai, toh hume Cryptography Token ke sath-sath us pin ko bhi safe rakhna padta hai. Is liye Digital Signature kafi safe kyu ki aap ko digital signature ko access krne ke liye Cryptography Token ke sath us pin ka bhi pta hona chiye tab hi aap use access kr skte ho.

Conclusion

So dosto main umeed krta ho ki aap ye post achi lgi hogi or aap smaj gye hoge ki Digital Signature kya hai,ye Kaise kam krta hai, kaise isko bnaeya jata hai or ye kitna safe hai, agar aap ko lgta hai ki is post mein koi hor point ho skta hai toh comment krke jror share kre. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.