Hosting

What is web hosting in Hindi ?

What is web hosting in Hindi : Hello, friends websblog mein Aap sab ka swagat hai. Aaj ka Hamara jo topic hai ki Web hosting kya hoti hai? ye kitne types ki hoti hai. So dosto sab se phele hum bat krege ki web hosting kya hoti hai. So jab bhi hum koi website create krte hai toh uske liye hume do cheezo ki jroret hoti hai first domain name and second web hosting, jab bhi aap website create krte ho toh aap apne website ka domain name lete ho like abcd.com. website create hone ke baad or domain name lene ke baad aap ko website ko live krne ke liye hosting ki jroret hoti hai. So web hosting wo hoti hai jisme aap apni website ki sabhi files ko add krte ho hosting ke ander. Aao isko visthar se samjte hai:–

Web Hosting Kya Hai – What is web hosting in Hindi

web hosting kya hai

What is web hosting in Hindi : So dosto web hosting ek trah ka computer hi hota hai, jisme Aap apni website ki files ko rakhte ho , dusre shabdo mein keha jaye toh web hosting apki websites ko internet mein jgah dene ki sewa pardan krta hai. jaise ki hum jab koi apni website bnate hai toh ose apne computer pr kisi folder mein save kr dete hai computer ki hard disk memory ke ander, viase hi jab hume apni website ko live ya sabhi logo ke sath apni website ko internet mein share krna hota hai to hum apni website web hosting ander kisi name se rakh dete hai, jis se log Aap ki website ka nam dalkar aap ki website ko access kr pate hai.

Seo kya hai ye blog ya website ke liye kyu jrori hai ?

What is web hosting in Hindi : Web hosting ek trah ka computer hota hai jo ki 24×7 internet se connect rehta hai. bhot si companies hai jo aap ko web hosting pardhan krti hai jaise ki Godaddy,Bluehost,site ground etc. ye sabhi companies aap ko hosting pardhan krti hai or aap ki websites ko apne server pr store krti hai, jiske bdle mein ye aap se uska paisa leti hai aap ki websites ko server pr rakhne ka. inme se kuch companies ka server bhar ka hota hai or kuch India ka hota hai, jaise ki Godaddy or bigrock India ke hi server hai. Bhot sari free web hosting companies bhi hoti hai jo ki aap ko web hosting free mein pardhan krti hai jaise ki 000web host, ultimatefreehost.in , but inme kuch conditions apply ho jati hai jaise ki aap ki website pr bhot sara trafic hai toh ye aap ki website ko bnd krde ge or Aap ko limted resources hi milte hai . so mera to yhi suggestion hai ki agar aap new ho or testing krna chate ho ya study krna chate ho starting mein toh aap free wali hosting use kr skte ho. But agar aap ek professionally apna blog ya website bnate ho hor use age le jana chate ho toh aap paid wali hosting hi use kre.

Digital signature kya hai? digital signature kaise banaye in Hindi ?

Agar dosto aap pheli bar server(web hosting) kehrindene ja rahe ho toh do type ke server hote hai, Ek hota window server or ek hota hai Linux server. in servers ke bare mein hum visthar se bat krte hai:–

Linux vs Window Web Hosting

jab bhi aap hosting kehridte hai toh aap ke pas do option rehti hai window hosting or Linux hosting. So dosto agar aap apni website .net ya asp mein bna rahe ho toh aap ko window hosting lena chaiye, pr jo window hosting hai wo thodi costly padhti hai kyu ki window hosting mein license lena padta hai, wo license hume nhi lena hai jha se hum hosting lete hai wo hume ek sath payment bta dete hai ki aap itna payment krdo wo aap ko server de dete hai. But Linux server ek open-source server hai jaydatar websites Linux server mein hi hoti hai,kyu ki isme hume jayda pay nhi krna padta. Agar aap ki website WordPress , python,PHP ya Joomla mein hai toh linux server best hai.

SSL kya hai free mein ssl kaise le ?

Web hosting kitne prakar ki hoti hain – Types of Web Hosting

So dosto humne ye toh jan liya ki hosting kya hoti hai, kha se hum hosting le skte hai. so abhi hum dekhte hai ki hosting kitne parkar ki hoti hai:–

1.Shared web hosting
2.VPS (Virtual Private Server)
3.Dedicated hosting

Web hosting 3 parkar ki hoti hai shared,vps and Dedicated, Aao isko visthar se smajthe hai.

SHARED WEB HOSTING

shared web hosting wo hoti hai jis mein ek hi server ke ander bhot sare user ke accounts hote hai. agar isko saral sabdho mein kha jaye toh hazaro/lakho websites ki files ek hi server/computer pr store hoti hai. Is liye isko shared hosting khete hai kyu ki bhot sare user ke accounts ek hi server se jude hote hai. shared hosting un logo ke liye shi hoti hai jinho apna new blog ya website start krna ho.kyu ki new website ya blog mein itna trafic nhi hota toh shared hosting best rehti hai. jab website pr jayada users ya trafic Aa reha ho toh hi aap ko dusri hosting pr shift krna chiye. new user ke liye pratice ke liye, study ke liye ya new website start krne ke liye shared hosting best rehti hai.

VPS HOSTING

VPS server ek trah ka wo computer hota hai jike uper aap ka haq hota hai. iske ander koi sharing nhi hoti. ek vps server leker aap uske ander se chote-chote sharing hosting accounts create kr skte ho. VPS server ke use se aap ki website ki security or speed ki performence mein kafi fark padta hai. Jab aap ki website ya blog pr jayada trafic ya users aa rahe o toh vps server best rehta un logo ki website ke liye. Ye thoda costly padta hai shared hosting ki tulna mein, But isme aap ke liye resourses bda diye jate hai.

DEDICATED HOSTING

jis trah se shared hosting mein bhot sari websites ek hi jgah share krti hai viase hi dedicated server mein iska ulta hota hai. Dedicated server mein ek hi website store ki jati hai . Dedicated server mein aap ek website host krte ho is server mein sirf aap ka hi haq hota hai , isme koi sharing nhi hoti hai. Ye kafi powerful server hota hai. ye server thoda costly hota padta hai agar aap comprision kre sahring or vpn server ke sath. Dedicated server jayadater badi websites ke liye use hota jin websites mein jyada traffic ata hai un websites ke liye udarhan ke liye filpcart,amazon etc. ye sabhi badi ecommerce websites Dedicated server hi use krti hai. Dedicated server ka use badi companies ki websites ko manage krne ke liye hota hai, agar toh aap new ho toh aap ko phele sahre hosting hi use krni chiye fir aap vpn or dedicated server pr Aa skte ho.

Conclusion

So dosto main umeed krta ho ki aap ye post achi lgi hogi or aap smaj gye hoge ki Web hosting ky ahai kya hai,ye kitne parkar ka hoti hai or linux or window hosting mein kya anter hai,Agar aap ko lgta hai ki is post mein koi hor point add ho skta hai toh comment krke jror share kre. So dosto agar aap ko ye post achi lgi ho to please is post ko apne friends, relatives ke sath jror share kre or comment jror kre ki aap ko ye post kaisa lga.

2 thoughts on “What is web hosting in Hindi ?

  • I really like your blog.. very nice colors & theme.
    Did you create this website yourself or
    did you hire someone to do it for you? Plz respond
    as I’m looking to design my own blog and
    would like to know where u got this from.

    kudos

    Reply
    • websblog

      I am a web developer and I have created this website myself

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.